Wednesday, 11 September 2013

ek din meri zindagi (Lyrics)



 (Ek din meri zindagi hogi)
Ek  din  meri  zindagi  hogi  jawan
Gayegi  ye  zamii jhumega asman…

Us ghari dil me mere kya tamanna hogi
Dard  ke  bad  wo  pehli  khusiyan  hogi
Ai   mere   dil   tu   kyun   hai    pareshan……

Khil uthengi meri zindagi me bhi  baharen
Meri    zindagi   ke   bhi   chmkenge  sitare
Waqt mujh par kabhi na kabhi hoga meharban…

Us ghari dil mera mangega ye dua
Chahta  ho  jo mujhe   dil  se  sada
uski kar dena khuda zindagi naujawaa..
Lyrics; faheemwrit

Tuesday, 10 September 2013

Kya khoob nazara hai (Lyrics)



Kya khoob nazara hai…
Kya khoob nazara hai
Kya Rab ne swanra hai
Koi dil me basa hai
Koi jaan me basa hai
Koi chand sa pyara hai
Koi door hamara hai,


Kya dilkash adayen hai
Kya dilkash baharen hai
Kya parwat ka nazara hai
Kya darya ka kanara hai
Kya himachal ko sawanra hai
Kya khoob nazara hai,


Kya zulfon ki ghatayen hai
Chha jaye to badal hai
Gir jaye to ghayal hai
Aa jao na tumhe hamne pukara hai,


Tune payal jo bajai hai
Tune kangna jo bajaya hai
Kya tumne bulaya hai
kya tumne pukara hai,


Lyrics; Faheem Alam 

Mujhe Tasvir Badalna hai (Mai aur meri shayari)



My Shayri; (Faheem Alam)
Mujhe tasvir badalna hai
Mujhe takdir badalna hai
Mujhe malum hai hazaron tufan honge
Mujhe malum hai ham akele honge
Mujhe himmat dena ai mere khuda
Mujhe sonch badalna hai…
Mai sonchta hun ek naya asman ho
Mai sonchta hun ek naya karwan ho
Meri manzilen ho mere raste ho
Chahe safar kitni hi door kyon na ho…

Meri awaz meri raftar ho
Meri kalam ki tej dhar ho
Mita de jo jurm ka namonishan
Mere lafzon me wo josh o bahar ho…
Meri kalam meri zindagi hai
Meri kalam meri haqiqat hai
Mai to kucch  bhi nahi
Meri kalam hi mera sabkucch hai…
Kash ki mil jaye mujhko mohabbat ki syahi aur kalam
Sari zindagi ki khushi apne dosto ke naam likh dun…
From Writer’s pen (faheemwriter72@gmail.com)

My Writing (Works)



My Works (Faheem Alam) Writer & Designer

My Novel
Lucky International (a story of Lucky & Simran)
Lion of Lucknow (a story of a brave boy)
The Himalyan Doll (a story of a beautiful girl)

My Poem
Mere gaon ke angan me (hindi poem)
Desh ke khatir (Hindi poem)
The Great Indian (English Poem)
Visit of Angelina (English Poem)

My essay
My struggle for job (an essay)
The chemistry of life (an essay)
The  real aim of life (an essay)

My hit lyrics
Kya khoob nazara hai
Tere desh me rahta hun
Ek din meri zindagi…
Aa dekh zara yaron

My Album (a volume of hit lyrics)
Ai mere khuda
Ai baharon ke mausam
Yadon ke sahare

My naat e paq
Aaj ghar-2 me 
Aaqa ki yad
Na daulat ki tamanna hai
Rab tera hi  sahara hai