Tuesday 10 September 2013

Kya khoob nazara hai (Lyrics)



Kya khoob nazara hai…
Kya khoob nazara hai
Kya Rab ne swanra hai
Koi dil me basa hai
Koi jaan me basa hai
Koi chand sa pyara hai
Koi door hamara hai,


Kya dilkash adayen hai
Kya dilkash baharen hai
Kya parwat ka nazara hai
Kya darya ka kanara hai
Kya himachal ko sawanra hai
Kya khoob nazara hai,


Kya zulfon ki ghatayen hai
Chha jaye to badal hai
Gir jaye to ghayal hai
Aa jao na tumhe hamne pukara hai,


Tune payal jo bajai hai
Tune kangna jo bajaya hai
Kya tumne bulaya hai
kya tumne pukara hai,


Lyrics; Faheem Alam 

No comments:

Post a Comment