Tuesday 10 September 2013

Mujhe Tasvir Badalna hai (Mai aur meri shayari)



My Shayri; (Faheem Alam)
Mujhe tasvir badalna hai
Mujhe takdir badalna hai
Mujhe malum hai hazaron tufan honge
Mujhe malum hai ham akele honge
Mujhe himmat dena ai mere khuda
Mujhe sonch badalna hai…
Mai sonchta hun ek naya asman ho
Mai sonchta hun ek naya karwan ho
Meri manzilen ho mere raste ho
Chahe safar kitni hi door kyon na ho…

Meri awaz meri raftar ho
Meri kalam ki tej dhar ho
Mita de jo jurm ka namonishan
Mere lafzon me wo josh o bahar ho…
Meri kalam meri zindagi hai
Meri kalam meri haqiqat hai
Mai to kucch  bhi nahi
Meri kalam hi mera sabkucch hai…
Kash ki mil jaye mujhko mohabbat ki syahi aur kalam
Sari zindagi ki khushi apne dosto ke naam likh dun…
From Writer’s pen (faheemwriter72@gmail.com)

No comments:

Post a Comment