Wednesday 11 September 2013

Mere gaon ke angan me (Poem)



My hindi poem (Mere gaon ke angan me)
Mere Gaon Ke Angan Me
Ek  Choti Si Bagiya Hai
Us Chhoti Si Bagiya Me
Kuchh Phulo Ki Kaliyan Hai
Kuchh Yadon Ki Galiyan Hai

Mere Gaon Ke Angan Me
Kuchh Mauje Masti  Hai
Kuchh Phulon Ki Hasti Hai
Koi  Lahrati Koi Balkhai
Koi Ithlati Koi Itrati Hai

Mere Gaon Ke Angan Me
Meri Maa Ka Anchal Hai
Meri Maa Ka Sapna Hai
Mere Bhai Bahna Hai
Mera Koi Apna Hai

Mere Gaon Ke Angan Me
Phulon Ki Fulwari Hai
Bachchon Ki Kilkari Hai
Ek Subha Nyari Hai
Ek Shaam Pyari Hai


Mere Gaon Ke Angan Me
Kheton Khaliyano Me
Door Ke Maidano Me
Bhauren Gaate Hai
Kuchh Gungunaten Hai

Mere Gaon Ke Angan Me
Koyal Ki Koo- Koo Hai
Chidiyon Ki Chah-Chah Hai
Nadiyon Ki Lahren Hai
Jheelon Ki Maujen Hai

Mere Gaon Ke Angan Me
Thandi Hawayen Hai
Mahki  Fizayen Hai
Ghanghor Ghatayen Hai
Kya Mast Shamayen Hai

Mere Gaon Ke Angan Me
Sawan Ke Jhule Hai
Maujon Ke Melen Hai
Khoob Jhamele Hai
Relam Rele Hai………..

Faheem Alam (Writer & Hindi Poet)

No comments:

Post a Comment